Woh Ghadiyaan


Dilon ke paas nazar aayee ladkhadai si
Daur Chalta raha Chalta raha Chalta hi raha
Hamne chaha thha ki har lamha thham lein badhkar
Waqut dhalta raha dhalta raha dhalta hi raha

Zindgi ret bani haath se sarakati rahi
Waqut bekhauf kaheen karwatein badalta raha
Aur maasoom si sargoshiyon ke wo manzar
Dard ki aanch mein khamosh se sulagte rahe
Ret ki aandhiyon mein lafz sab bhatakte rahe
Barf mein jamta hua aks hath malta raha

टिप्पणी करे